Kanz e Aza

Pabasta e Zanjeer

A noha for Darbaar e Shaam, written by Shahid Jafer. Lyrics in Roman Urdu.

pabastae zanjeer ke chehre ko bhi dekho

ay sham ke baazariyo lehje ko bhi dekho


lehje may wohi faatahe khyber ki garaj hai

karaar ki jaraar ki safdar ki garaj hai

pyase ke garajte hue khutbe ko bhi dekho

pabastae zanjeer…


wo sar ke jo naize pe tilawat may hai mashghool

wo sar to azal se bhi ibadat may hai mashghool

us sar ke zara khaak may sajde ko bhi dekho

pabastae zanjeer…


sab log ye kis sar ki ziarat ke liye hai

shayad ke payambar ki ziarat ke liye hai

hamshakle payambar ke kaleje ko bhi dekho

pabastae zanjeer…


nanha sa wo ek sar bhi sare noke sina hai

jispe ke faqat teer se katne ka nishan hai

be-ghairaton cheh maah ke bache ko bhi dekho

pabastae zanjeer…


maidan may bilakte hue bachon ko to dekha

shabbir ke jalte hue qaimon ko to dekha

naizon se ridaon ke utarne ko bhi dekho

pabastae zanjeer…


honton pe bhatiji ke raha naam chacha ka

is naam ne har dukh may diya kaam dawa ka

is naam pe zaalim ke tamache ko bhi dekho

pabastae zanjeer…


shahid hai falak door bahot aur zameen sakht

bazaar se darbar ki manzil hai kahin sakht

is baat pe zainab ke tadapne ko bhi dekho

pabastae zanjeer…