Kanz e Aza

parda duniya ko sikhane wali aayi bazaaron may zainab

A noha for Darbaar e Shaam. Lyrics in Roman Urdu.

parda duniya ko sikhane wali aayi bazaaron may zainab

ghar se bahar bhi na aane wali aayi bazaaron may zainab


parda duniya ko sikhane...


1. jisne baba se chudae-thay kayi baar aseer

qaidi azaad karane wali aayi bazaaron may zainab


parda duniya ko sikhane...


2. jalte qaimon se utha laayi abbas ke baad

ali aabid ko bachane wali aayi bazaaron may zainab


parda duniya ko sikhane...


3. deen ki khaatir ye bibi salaar bani

banke abbas dikhane wali aayi bazaaron may zainab


parda duniya ko sikhane...


4. apne seene pe sakina ko zindano may

baad bhai ke sulaane wali aayi bazaaron may zainab


parda duniya ko sikhane...


5. nange sar padti rahi khutbe bazaaron may

kasre dushman ko hilane wali aayi bazaaron may zainab


parda duniya ko sikhane...


6. kufe aur shaam bhi saare gaye ye baali johar

azmate deen ko badhane wali aayi bazaaron may zainab


parda duniya ko sikhane...


Azz:- Johar...