pardes mein ghar lut gaya bano ki thi faryad
ay sayyade sajjad
pardes mein ghar…
asghar ke bina hogayi dunya meri barbad
ay sayyade sajjad
pardes mein ghar…
bachon ki judaai mein hai zainab ka bura haal
kubra bhi hai behaal
laila ka jigar chalni hai farwa bhi hai nashaad
ay sayyade sajjad
pardes mein ghar…
akbar hai na asghar hai na ab shaahe mubeen hai
har samt layeen hai
tumhi mere waris bhi ho tumhi meri aulaad
ay sayyade sajjad
pardes mein ghar…
raton ko bhi aksar jo sakina nahi soti
uth uth ke hai roti
aankhon mein phira karte ho shayad sitam ejaad
ay sayyade sajjad
pardes mein ghar…
parde hai amari hai na chadar na saron par
khushki hai labon par
rassi ki ghiraft se koi baazu nahi azaad
ay sayyade sajjad
pardes mein ghar…