pardesi kunbe waalon ki yaad jo teer chubhoti hai
nana ke rauze pe sughra chupke chupke roti hai
aane waale bhai ka rasta takti hai bemaar behen
bhai ki majboor jawani naiza khaaye soti hai
pardesi kunbe waalon...
ay shehzadi qasim o akbar ab na milenge qasid ko
darwaze pe aas lagaye na-haq pehron roti hai
pardesi kunbe waalon...
akbar ki shadi ki tamanna haye muqaddar sughra ka
sehre ki ladiyan to nahi ashkon ke haar piroti hai
pardesi kunbe waalon...
kaisa rona kaise aansu ashre ke din asr ke baad
sughra apne rukhsaron se gard e yateemi dhoti hai
pardesi kunbe waalon...
baap ke seene par soti thi ek zamana wo bhi tha
ek zamana ye hai sakina farshe zameen par soti hai
pardesi kunbe waalon...
jisne ummat ki raahon mein farsh bichaya phoolon ka
ummat uske bemaaron ki raah mein kaante boti hai
pardesi kunbe waalon...