raat sughra ne ajab khaab pareshan dekha
dasht mein khoon mein dooba hua quran dekha
dil e yaseen pe chalate thay jo teer o khanjar
koi khaari tha koi haafize quran dekha
raat sughra ne...
dhoodne aate ho darya'on ke pani jisko
aisa pyasa na koi dunya mein mehman dekha
raat sughra ne...
kabhi chooma kabhi dekha kabhi lipti rokar
maa ne gehwara e asghar ko jo veeran dekha
raat sughra ne...
ek taraf aun o mohamed ke pade hai laashe
aur shabbir ko tanha sare maidan dekha
raat sughra ne...
aag ummat ne usi ghar ko lagayi afsos
jiske darwaze pe jibreel ko darbaan dekha
raat sughra ne...
khoon barasne laga sajjad ki aankhon se nisar
sare zainab ko jo bazaar mein uryan dekha
raat sughra ne...