raahon mein sarban ko chaon mili na saaya
betaab dhoop mein hai zanjeer ka sataya
ujde gharon mein goonji awaaz haye akbar
sughra ko jab phupi ne ro kar galay lagaya
raahon mein sarban ko...
jaana kacheriyon mein choota na bibiyon ka
aisa kisi adoo ne darbar mein bulaya
raahon mein sarban ko...
pardesiyon ki qabron mein turbate sakina
kisne hai phool daale kisne diya jalaya
raahon mein sarban ko...
zainab ke sar mein ab tak hai rayt karbala ki
rassi ne baazuon mein kaala nishan banaya
raahon mein sarban ko...
pehchan lena sughra ab apne karwan ko
is khaafile mein bibi koi nahi paraya
raahon mein sarban ko...
zahra ko yaad aaya pehlu ka koi sadma
durre ka neel maa ko zainab ne jab dikhaya
raahon mein sarban ko...
shauhar bache na bhai susraal aur na meinka
bemaar tera bhai bewon ko saath laaya
raahon mein sarban ko...
kehte thay manzilon pe maa'on se ro ke bache
ammi watan madina kyun ab talak na aaya
raahon mein sarban ko...