jab hurmala ne teer kamaan se kiya reha
baysheer ka chida sar e maidan jab gala
maara gaya jo bano ka dilgeer bekhata
aisa hussain tadpe ke ran kaampne laga
ay hamshabihe khatme rasul aankhein kholiye
naraaz kyun hai maadar e muztar se boliye
sun kar jawan ki laash pe maadar ka marsiya
aisa hussain tadpe ke...
lije salaam e aakhri ay sayyed e anaam
bedast hoke girta hai ghode se ab ghulam
darya se jab tadap ke baradar ne di sada
aisa hussain tadpe ke...
naazuk badan wo ghodon ki taapon ke silsile
wa ghurbata ghareeb ki aankhon ke saamne
laasha hassan ke laal ka pamaal jab hua
aisa hussain tadpe ke...
dilbande fatema ke hai gham mein sabhi nidhaal
karte huwe hussain ko ruqsat paaye jidaal
jab bibiyon ne ro ke kaha wa mohammada
aisa hussain tadpe ke...
tapti hui zameen tan e bekas lahoo lahoo
pehlu shikasta maadar e muztar ke roo baroo
sookhe gale pe khanjar e jallad jab chala
aisa hussain tadpe ke...
seene pe sone waali masayib ke darmiyan
kehti hai har sitam pe chacha jaan al amaan
kaano se jab sakina ke baali hui juda
aisa hussain tadpe ke...
qasim kidhar gaye mere abbas ho kahan
dekho nabi ki aal musibat mein hai yahan
aao bachane zainab e muztar ne jab kaha
aisa hussain tadpe ke...
baad e imam dayam o yazdan suye qayaam
asbaab lootne ko wo aayi sipaah e shaam
naize pe jab baland hui aal ki rida
aisa hussain tadpe ke...