reh gayi dasht may tanha to watan yaad aaya
pani jab paaya to har ek tashan dahan yaad aaya
le ke har cheez madine se chali thi zainab
laash par bhai ke pahunchi to kafan yaad aaya
shabbir teri ghurbat ki qasam
mai laash teri dafna deti
gar sar pe mere chadar hoti
mai tujhko kafan pehna deti
shabbir ye des paraya hai
warna mai tumhari mayyat par
ambaar lagati kaliyon ke
phoolon ki meenh barsa deti
shabbir tumhe maloom to hai
mere haath bandhe thay gardan se
gar haath mere jo khule hote
mai laash watan pahuncha deti
shabbir ye tum ne acha kiya
kaabe se nikal aaye warna
ye ummat qaimon ke badle may
kaabe ko aag laga deti
gar pyaas ki shiddat se bhai
aansu na mere sookhe hotay
aankhon se mai teri mayyat par
kausar ke jaam baha deti
qaimon ko jala kar aada ne
asbaab mera sab loot liya
tu khud hi bata de bhai mai
deti bhi tujhe to kya deti
sajjad ko jalte qaime se
gar shaam na le jaana hota
teri laash pe gir kar mar jaati
khud ko mai tera sadqa deti
kausar ye kise haq haasil hai
tehreer nabi ki chaak kare
ummat ko agar manzoor na tha
zehra ko sanad lauta dete