roke farmate thay har bibi se sarwar alwida
ay meri bali sakina meri dukhtar alwida
dekhlo jee bhar ke mujhko hai shahadat an qareeb
ab gala mera hai aur khaatil ka khanjar alwida
roke farmate thay...
raat bhar ka ay behan dunya may mai mehman hoo
subha hote qatl hoonga mai muqarrar alwida
roke farmate thay...
sabr karna ay behan hargiz na karna bad-dua
cheen lenge gar udoo balwe may chadar alwida
roke farmate thay...
sab haram ko aur bachon ko tumhe saumpa behan
aur tumhe saumpa khuda ko binte hyder alwida
roke farmate thay...
baad mere ahle keen qaima jala kar lootenge
aur phirayenge tumhe dar dar khule sar alwida
roke farmate thay...
aan kar sunle wasiyat karle ab ruqsat hame
hai kahan ghash may pada sajjad e muztar alwida
roke farmate thay...