roohon mein bas gayi hai aqeedat hussain ki
seenon mein dil hai dil mein turbat hussain ki
yun deen e mustafa mein hai shirkat hussain ki
allah ki azaan hai aqamat hussain ki
roohon mein bas gayi...
farshe aza hai mere liye gham ki janamaz
ashkon se kar raha hoon ibadat hussain ki
roohon mein bas gayi...
deen e mohamadi se nikal jaaye wo abhi
jis ko nahi qubool qayadat hussain ki
roohon mein bas gayi...
ruswa jagah jagah na musalman ho kabhi
dil se nikaal de jo adawat hussain ki
roohon mein bas gayi...
haathon mein hai hussain ke zulf e nabi muhaar
marzi pe chal rahi hai risalat hussain ki
roohon mein bas gayi...
sikka ali ka aur khuda ka nizaam ho
ho mustafa ka mulk hukumat hussain ki
roohon mein bas gayi...
pani ka jaam saamne aata hai jitni baar
karta hoon itni baar ziyarat hussain ki
roohon mein bas gayi...
asghar ko laaye ran mein ye kehte huwe hussain
nana bas aakhri hai ye khidmat hussain ki
roohon mein bas gayi...
cha chal ke ruk raha tha jo gardan pe baar baar
khanjar tabhi garan thi aziyat hussain ki
roohon mein bas gayi...
talwaar dushmano pe hai mehshar tera qalam
tere qalam ki zarbat hai zarbat hussain ki
roohon mein bas gayi...