ye dashte karbala mein zainab ki thi duhaai
ruk jao mere bhai mat jao mere bhai
hai laakhon adoo shamsheerein liye
ay bhai mujhe khauf aata hai
ek hook si uth'ti hai bhaiya
dil mera bahot ghabrata hai
ruk jao mere bhai...
darya ke kinare qatl hui
seh roz ki pyasi fauje khuda
is dashte musibat mein bhaiya
hai kaun bhala mazloomon ka
ruk jao mere bhai...
is dukhiya behan ko ay bhai
pardes mein kyun tadpate ho
abbas gaye akbar bhi gaye
ab tum bhi chode jaate ho
ruk jao mere bhai...
jo khaynche huwe hai talwarein
ay bhai yehi hai wo lashkar
jo teer chalane aaya tha
mere bhai hassan ki mayyat par
ruk jao mere bhai...
ay bhai zara dekho to sahi
roti hai tadapti hai kubra
baba se bichadne ke gham mein
mar jaaye na qasim ki bewa
ruk jao mere bhai...
wo qaime ke dar pe baithi hui
masoom sakina roti hai
dhoondegi bahot ye bacchi tumhe
seene pe tumhare soti hai
ruk jao mere bhai...
zakhmi tha bahot par ruk na saka
mazloom musafir ay gohar
mazloom ki behnein dar pe khadi
kehti hi rahi ye ro ro kar
ruk jao mere bhai...