jaari hai sadiyon se safar karbobala ka
kaarwan chalta hi raha ahle aza ka
jaise kabhi maula ne hum ko na bhulaya
hum ne bhi wallah na maula ko bhulaya
sab yaad hai maula sab yaad hai maula
haa yaad hai maula sab yaad hai maula
wo tera sar na jhukana apne waade ko nibhana
tum ko bhoola na zamana maula maula
ya hussain hussain hussain
kaise hussain aap ki hum shaan bataye
kaise wo alfaaz bhala dhoond ke laaye
kitna hai bechain ye dil kaise bataye
kaash ye dil khol ke hum tum ko dikhaye
tum ko hum ne na bhulaya
gham ye bachpan se manaya
aur sab ko hai sunaya maula maula
sab yaad hai maula sab yaad hai maula
haa yaad hai maula sab yaad hai maula
na bhoole thay na bhoolenge
ye gham tera hussain
wallah rahega ye sada yaad ya hussain
ya hussain hussain hussain
karbobala aata hai ab saara zamana
kaise bani kisne kiya is ko mualla
kis ki hai jageer yahan kaun hai rehta
kaun hai is saltanat e noor ka maula
wo hussain ibne ali hai wo nawasa e nabi hai
karbala jis se saji hai maula maula
sab yaad hai maula sab yaad hai maula
haa yaad hai maula sab yaad hai maula
wo tera sar na jhukana apne waade ko nibhana
tum ko bhoola na zamana maula maula
ya hussain hussain hussain
maula hussain aap se kya kya nahi seekha
kya hai behan bhai ka maa baap ka rishta
kaisi hi aulaad yahan dost ho kaisa
hum ko ye sab karbobala mein nazar aaya
kahin ghazi sa baradar kahin beta ali akbar
kahin zainab si wo khwahar maula maula
sab yaad hai maula sab yaad hai maula
haa yaad hai maula sab yaad hai maula
na bhoole thay na bhoolenge
ye gham tera hussain
wallah rahega ye sada yaad ya hussain
ya hussain hussain hussain
pehli dafa karbobala jab mai gaya tha
charon taraf mere tha jannat ka nazaara
mera to har lamha ibadat mein hi guzra
jaagna din raat azadaron mein rehna
kabhi is rauze pe jaana kabhi us rauze pe jaana
farsh maatam ka bichana maula maula
sab yaad hai maula sab yaad hai maula
haa yaad hai maula sab yaad hai maula
wo tera sar na jhukana apne waade ko nibhana
tum ko bhoola na zamana maula maula
ya hussain hussain hussain
aaj bhi hum aise moharam hai manaate
apne gharon mein hai azakhane sajaate
saare azadar sabeelein hai lagaate
naam pe maula ke tabarruk hai khilaate
kaalae kapde hai pehente farshe matam hai bichate
aap ka gham hai manaate maula maula
sab yaad hai maula sab yaad hai maula
haa yaad hai maula sab yaad hai maula
na bhoole thay na bhoolenge
ye gham tera hussain
wallah rahega ye sada yaad ya hussain
ya hussain hussain hussain
jab bhi alam dekha alamdare wafa ka
yaad hamein aaya wo mashkeeza wo darya
laut ke jab aaya na saqqa e sakina
lut gaye sadaat sitam kya nahi dekha
kabhi bazaar mein jaana kabhi darbar mein jaana
kabhi zindan nibhana maula maula
sab yaad hai maula sab yaad hai maula
haa yaad hai maula sab yaad hai maula
wo tera sar na jhukana apne waade ko nibhana
tum ko bhoola na zamana maula maula
ya hussain hussain hussain
kal to thay ashoor mein tanha mere maula
aaj hai saath aap ke ye saara zamana
aap ko har nasl ne har qaum ne maana
hota hai har mulk mein labbaik hussaina
ab to har dil ka hai naara ab to har ghar hai tumhara
sara aalam ye pukaara maula maula
sab yaad hai maula sab yaad hai maula
haa yaad hai maula sab yaad hai maula
wo tera sar na jhukana apne waade ko nibhana
tum ko bhoola na zamana maula maula
ya hussain hussain hussain
na bhoole thay na bhoolenge
ye gham tera hussain
wallah rahega ye sada yaad ya hussain
ya hussain hussain hussain
sab yaad hai maula sab yaad hai maula
sab yaad hai maula sab yaad hai maula