Kanz e Aza

Aao Chale Karbala

A noha written by N. Sarwar, J. Jaffri & A. Shanawar. Lyrics in Roman Urdu.

hai hamari dars gaah karbala karbala

haq ka seedha rasta karbala karbala

chalo chalo hame tumhe pukarti hai karbala


chalte raho saath liye saara zamana

aao chale karbobala ban ke safeerane aza

tum bhi chalo hum bhi chale

saath ho zehra ki dua

aao chale karbobala ban ke safeerane aza


karbobala mein tumhe quran milega

fatema tuz zahra ka faizaan milega

tum ko har ek mulk ka insaan milega

parcham e abbas nigheban milega

chalte raho saath liye saara zamana

aao chale karbobala...


aao chale parcham e abbas utha kar

shehr e najaf se chale karbobala mil kar

sheh ke azadaro ka ho saath samandar

pal mein badal jayega hum sab ka muqadar

chalte raho saath liye saara zamana

aao chale karbobala...


dene chale pursa hussain ibne ali ka

nauha padhe chal ke alamdar e jari ka

momino matam kare humshakle nabi ka

qasim o baysheer ka pursa de sabhi ka

chalte raho saath liye saara zamana

aao chale karbobala...


shukr e khuda maula ke zawaar bane hum

aal e mohamed ke tarafdaar bane hum

hyder e karaar ke hub daar bane hum

zehra ke bachon ke azadaar bane hum

chalte raho saath liye saara zamana

aao chale karbobala...


maango dua unki bhi poori ho duayein

dete hai maula ko jo ro ro ke sadayein

maula mere jald unhe dar pe bulayein

karte huwe matam e shabbir wo aayein

chalte raho saath liye saara zamana

aao chale karbobala...