kehte hai jab bhi jisko bhi jaana ho karbala
zawwar jisko banna ho maula hussain ka
laazim hai is ke waaste abbas ki riza
abbas bula lo zawwar bana do
ek baar hamein rauza e shabbir dikha do
maula mere maula mere maula mere maula
jaana hai karbala jaana hai
ba khuda maula ke dar hamein jaana hai
abbas bula lo zawwar bana do
ek baar hamein rauza e shabbir dikha do
maula mere maula mere maula mere maula
badshah e karbala ay shaahe nainawa
jald bulaana hamein jald bulaana
jab aayi chand raat moharam ki ya khuda
ay kaash karbala mein ho hum bhi kisi jagah
manzar wo hum bhi dekhle parcham kushayi ka
labbaik ya hussain hamari bhi ho sada
paana hai ye sharaf paana hai
sheh ke zawwaro mein naam likhwana hai
jaana hai karbala jaana hai
ba khuda maula ke dar hamein jaana hai
abbas bula lo zawwar bana do
ek baar hamein rauza e shabbir dikha do
maula mere maula mere maula mere maula
jaana hai karbala jaana hai
ba khuda maula ke dar hamein jaana hai
maula tumhare chaahne waalon ki hai sada
karna hai karbala mmein hi ashoor e karbala
maula nazar ke saamne rauza ho aap ka
matam zari ke saamne ho aap ka bapa
kehna hai bas yehi kehna hai
hum ko bhi maula ke saaye mein rehna hai
jaana hai karbala jaana hai
ba khuda maula ke dar hamein jaana hai
abbas bula lo zawwar bana do
ek baar hamein rauza e shabbir dikha do
maula mere maula mere maula mere maula
jaana hai karbala jaana hai
ba khuda maula ke dar hamein jaana hai
maula hamein bhi apni ziyarat karaiye
ay fatema ke laal hamein bhi bulaiye
zawwar karbala ka hamein bhi banaiye
jageer ba-wafa ki hamein bhi dikhaiye
aana hai roz wo aana hai
zikre maula karne hum ko bhi aana hai
jaana hai karbala jaana hai
ba khuda maula ke dar hamein jaana hai
abbas bula lo zawwar bana do
ek baar hamein rauza e shabbir dikha do
maula mere maula mere maula mere maula
jaana hai karbala jaana hai
ba khuda maula ke dar hamein jaana hai
dekhe nazaara hum bhi wahan arbaeen ka
paidal safar najaf se kare suye karbala
baatein sabeel aur tabarruk jagah jagah
jaari rahe aza e hussaini ka silsila
karna hai ye safar karna hai
sang azadaro ke hum ko bhi jaana hai
jaana hai karbala jaana hai
ba khuda maula ke dar hamein jaana hai
abbas bula lo zawwar bana do
ek baar hamein rauza e shabbir dikha do
maula mere maula mere maula mere maula
jaana hai karbala jaana hai
ba khuda maula ke dar hamein jaana hai
badshah e karbala ay shaahe nainawa
jald bulaana hamein jald bulaana
ye aarzu hai karbobala jab bhi jayenge
hum qaimagah mashk o alam leke jayenge
abbas ka hussain ko nauha sunayenge
sadaat ke ujadne ka matam karayenge
rona hai haa hamein rona hai
karbala waalon ka sog to hona hai
jaana hai karbala jaana hai
ba khuda maula ke dar hamein jaana hai
abbas bula lo zawwar bana do
ek baar hamein rauza e shabbir dikha do
maula mere maula mere maula mere maula
jaana hai karbala jaana hai
ba khuda maula ke dar hamein jaana hai
kat kar gire thay baazu e abbas jis jagah
akbar jawan ka jahan chalni jigar hua
asghar ne khaaya has ke jahan teer e hurmala
dooba jahan pe khoon mein lashkar hussain ka
jaana hai har jagah jaana hai
jaake har turbat par ashk barsana hai
jaana hai karbala jaana hai
ba khuda maula ke dar hamein jaana hai
abbas bula lo zawwar bana do
ek baar hamein rauza e shabbir dikha do
maula mere maula mere maula mere maula
badshah e karbala ay shaahe nainawa
jald bulaana hamein jald bulaana
maula hussain aap ne kya kaam kar diya
apne lahoo se khaak ko khaake shifa kiya
maula yehi hai aap ke zawwar ki dua
hum bhi padhe namaz sar e arz e karbala
sun'na hai haan hamein sun'na hai
haram e maula ki wo azan sun'na hai
jaana hai karbala jaana hai
ba khuda maula ke dar hamein jaana hai
abbas bula lo zawwar bana do
ek baar hamein rauza e shabbir dikha do
maula mere maula mere maula mere maula
badshah e karbala ay shaahe nainawa
jald bulaana hamein jald bulaana