pehchano musalmano mai fatema zehra hoon
jaane kaise thay musalman ghar jalaane aagaye
baap ke jaate hi beti ko sataane aagaye
qabr pe baba ke di ye ro ke beti ne sada
kis tarha badle musalman dekhiye ukda kusha
aap ke jaate hi mujhpe zulm dhaane aagaye
jaane kaise thay musalman...
kis khadar jaldi thi unko aap ki ruqsat ke saath
ahle baatil ek jaa ho kar yahan shiddat ke saath
jalta darwaza mere uar giraane aagaye
jaane kaise thay musalman...
dekha in aankhon ne kya kya al amaan o al hafeez
is qadar badla zamana al amaan o al hafeez
hyder e karraar ko qaidi banane aagaye
jaane kaise thay musalman...
aap ki beti kahan aur zulm ki shiddat kahan
ehteram e fatema zehra ke badle baba jaan
aap ki beti ka haye dil dukhaane aagaye
jaane kaise thay musalman...
aap ko deti rahi awaaz ye khasta jigar
ya nabi allah lije aake dukhiya ki khabar
fatema ko kalmago durra lagaane aagaye
jaane kaise thay musalman...
kis khadar dushwaar hota hai bichadne baap ka
haq to ye tha ghamzada ko dete pursa baap ka
pursa dene ke bajaye khoon rulaane aagaye
jaane kaise thay musalman...
aalam e islam ka dastoor ehsan hai yehi
uske ghar chula na roshan ho jahan guzre koi
hum thay ghar mein aur stiamgar ghar jalane aagaye
jaane kaise thay musalman...
dayam o yazdan tha ek ghamkhwar ka ye marsiya
baba jaan kya aap roothe lut gaya mera jahan
baani e mushkil meri mushkil badhane aagaye
jaane kaise thay musalman...