Kanz e Aza

Jalta Darwaza

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Waiz Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

jalta darwaza gira aayi zahra ki sada

almadad ya fizza mera mohsin na raha


zaalimon ne mere laal ko maar diya

almadad ya fizza mera mohsin na raha


apni shehzadi ki imdad ko aao bibi

mere upar se ye darwaza hatao bibi

ay meri behen fizza imdad karo aa kar

darwaza giraya hai aada ne mere upar

almadad ya fizza almadad ya fizza

saansein rukti hai meri dam labon par hai mera

almadad ya fizza mera mohsin na raha

jalta darwaza gira...


zakhmi haaton se ye darwaza sambhalun kaise

keel dar aayi hai seene mein nikalun kaise

ay meri behen fizza imdad karo aa kar

darwaza giraya hai aada ne mere upar

almadad ya fizza almadad ya fizza

koi tadbeer karo dard hai hadh se siwa

almadad ya fizza mera mohsin na raha

jalta darwaza gira...


dard e pehlu mujhe uthne nahi deta behna

cha gaya hai meri aankhon mein andhera behna

ay meri behen fizza imdad karo aa kar

darwaza giraya hai aada ne mere upar

almadad ya fizza almadad ya fizza

phasliyon ke tukde de rahe hai eeza

almadad ya fizza mera mohsin na raha

jalta darwaza gira...


tum ne har haal mein ki hai meri nusrat fizza

mere hasnain na dekhe ye qayamat fizza

ay meri behen fizza imdad karo aa kar

darwaza giraya hai aada ne mere upar

almadad ya fizza almadad ya fizza

dam nikal jayega mere shehzadon ka

almadad ya fizza mera mohsin na raha

jalta darwaza gira...


badti jaati hai tapish aag ki aao jaldi

meri chadar mein lagi aag bujhao jaldi

ay meri behen fizza imdad karo aa kar

darwaza giraya hai aada ne mere upar

almadad ya fizza almadad ya fizza

dayr ho jaaye na bad raha hai shola

almadad ya fizza mera mohsin na raha

jalta darwaza gira...


bul-hassan ka bhi abhi saath nibhana hai mujhe

apne waali ko layeeno se bachana hai mujhe

ay meri behen fizza imdad karo aa kar

darwaza giraya hai aada ne mere upar

almadad ya fizza almadad ya fizza

bibi jaldi de do mujhko laa kar ke asaa

almadad ya fizza mera mohsin na raha

jalta darwaza gira...


mere dil se na juda hoga ye mohsin ka gham

hashr tak karti rahungi mai ye keh kar matam

ay meri behen fizza imdad karo aa kar

darwaza giraya hai aada ne mere upar

almadad ya fizza almadad ya fizza

mere bacche ne qadam dehr mein na rakha

almadad ya fizza mera mohsin na raha

jalta darwaza gira...


royi be-saakhta sar peet ke fizza waiz

jab padha fatema zehra ne ye nauha waiz

ay meri behen fizza imdad karo aa kar

darwaza giraya hai aada ne mere upar

almadad ya fizza almadad ya fizza

meri aaghosh ka haq maut ne cheen liya

almadad ya fizza mera mohsin na raha

jalta darwaza gira...