haye zehra haye zehra
waqte ruqsat hai ye fatema ka
ho chuki hai namaz e janaza
bache mayyat se lipte huwe hai
aakhri hai ye deedar maa ka
nahi hai koi ab apna ali ko chod kar tanha
ali ke ghar ki raunaq jaa rahi hai
janaza uth raha hai fatema ka
bahot zakhmi thi khud lekin ali ke zakhm bharti thi
utha kar haath pehlu se wo aansu saaf karti thi
ab aansu kaun pochega bahot yaad aayegi zehra
ali ke ghar ki raunaq...
janaza uth raha hai...
bulaya tha jise maa ne kafan se haath phaila ke
usay lipta hua dekha to fizza ne kaha aa ke
janaze se hussain uth ja kafan ab chod de maa ka
ali ke ghar ki raunaq...
janaza uth raha hai...
kafan jab bhi hataata hai tamacha yaad aata hai
wo zakhmi maa ka chehra choom ke aansu bahata hai
hassan ko gham hai chehre par tamache ka nishan le kar
ali ke ghar ki raunaq...
janaza uth raha hai...
sirhane baith kar zainab ne maa ka haath jab chooma
ali kehne lage dekha nishan jab taziyane ka
chupa do saani e zehra ye zakhmi haath zehra ka
ali ke ghar ki raunaq...
janaza uth raha hai...
na ab lori sunayegi na wo jhoola jhulayegi
hussain ab fatema kaise tumhe pani pilayegi
wasiyat kar gayi zehra tumhe paalegi ab fizza
ali ke ghar ki raunaq...
janaza uth raha hai...
madine waalon ab apne gharon may chain se sona
satayega na ab tum ko nabi ki beti ka rona
gira tha jispe jalta dar wo tooti phasliyan lekar
ali ke ghar ki raunaq...
janaza uth raha hai...
chuda kar maa se bachon ko ali ne jab kafan baandha
tadap ke haye zeeshan o raza kehne lage maula
hai taaza zakhm pehlu ka zara aahista do kaandha
ali ke ghar ki raunaq...
janaza uth raha hai...