kaaba e dil gira diya haye
rauza e paak dha diya haye
jo nishan sabr ki alaamat tha
us nishan ko mita diya haye
kaaba e dil...
jis ke pehlu pe dar giraya tha
us ka rauza gira diya haye
kaaba e dil...
wo jo sarkar hi ka tukda thi
uska rutba bhula diya haye
kaaba e dil...
jis ke dar par nabi salaami thay
us ke ghar ko jala diya haye
kaaba e dil...
ek beti ke gham mein baba ko
qabr mein phir rula diya haye
kaaba e dil...
jis ki maadar ka ghar jalaya tha
uska qaima jala diya haye
kaaba e dil...
jis ka haq ajr tha risalat ka
usko ummat ne kya diya haye
kaaba e dil...