jis waqt ye zamana makkeh mein aa raha hai
tera hussain tere kaabe se jaa raha hai
ya rab gawah rahiyo sadme utha raha hai
tera hussain tere kaabe se jaa raha hai
nana ki qabr chodi maa ka mazaar choda
bhai hassan ka marqad apna dayaar choda
ab ye naya sitam bhi dil par utha raha hai
tera hussain tere...
mai ibne hajira hoon makkah mina ka beta
mai ambiya ka waaris marwa safa ka beta
ro ro ke aabe zam zam mujhko bula raha hai
tera hussain tere...
fakhr e khaleel mai hoon shaan e kaleem hono mai
maalik tu jaanta hai zibhe azeem hoon mai
tifli ka aaj apna waada nibha raha hai
tera hussain tere...
kaabe ke teri hurmat pamaal hona jaaye
mere lahoo se makkah sab laal hona jaaye
baadal musibaton ka ab sar pe cha raha hai
tera hussain tere...
ehraam mein chamakte khanjar chupe huwe hai
in hajiyon mein khooni lashkar chupe huwe hai
qismat ka ab sitaara gardish mein aa raha hai
tera hussain tere...
maalik ye hajre aswad bhi jaanta hai mujhko
makkeh ka zarra zarra pehchanta hai mujhko
rutba magar muslman mera ghata raha hai
tera hussain tere...
cheenti ko bhi amaa hai makkeh ki sar zameen par
par mujhko chain haye milta nahi kahin par
thokar pe aaj thokar shabbir khaa raha hai
tera hussain tere...
haji sabhi mina mein qurbaniyan karenge
par karbala mein akbar qurban hum karenge
is waaste pisar bhi hamraah jaa raha hai
tera hussain tere...
be-aab karbala mein mehman ye bhi hoga
akbar ka zikr kya hai qurban ye bhi hoga
godhi mein maa ke asghar jo muskura raha hai
tera hussain tere...
ehsaas kaise likhe lafzon mein aah ainee
mudh mudh ke dekhte thay kaabe ko shaah ainee
aamir ye shaahe deen ka nauha suna raha hai
tera hussain tere...