haathon se apna pakde kaleja jigar figaar
umme rabab dhoondti hai apna gulazaar
qaime ke dar par aati hai ho ho ke bekharar
rukh karke phir baqiye ka kehti thi baar baar
jaise pisar sunaar ka khoya hua mila
mujhko bhi mere laal ka batlaiye pata
ay bibi sayyeda mera asghar kidhar gaya
mojiznuma hai taahera khairunnisa hai aap
hum auraton ke waaste mushkil kusha hai aap
baahon mein meri jhoolne waala kidhar gaya
ay bibi sayyeda...
dar se kabhi na aap ke khaali gaya koi
murda dulhan ko aap ne bakshi thi zindagi
mujhko bhi ab batayein khudara kidhar gaya
ay bibi sayyeda...
jhoole mein dhoonti hoo kabhi qaimagah mein
phirta hai mera laadla meri nigaah mein
hasta hua wo pyara sa chehra kidhar gaya
ay bibi sayyeda...
afsos ek baras ki kamayi hui na thi
haye haye abhi to doodh badhayi hui na thi
papdaye honton waala wo pyasa kidhar gaya
ay bibi sayyeda...
cheh maah ka hai laal mere dil ka chain hai
thandak hai meri aankhon ki wo noore ain hai
roshan tha jis se ghar wo sitara kidhar gaya
ay bibi sayyeda...
qadmon se apne chal ke sidhara na haye haye
maa kehke ek dafa bhi pukara na haye haye
qaime mein mujhko chod ke tanha kidhar gaya
ay bibi sayyeda...
taqseer behel kijiye laundi hoon aap ki
ek maa ka dard maa hi hai dunya mein jaanti
poochun mai kis se hasliyon waala kidhar gaya
ay bibi sayyeda...
aayi sada ay beti meri kyun udaas hai
asghar to tera aaj se daadi ke paas hai
kehna na ab kaleje ka tukda kidhar gaya
ay bibi sayyeda...
ainee sada ye sunte hi khamosh hogayi
gehwara khaali dekh ke behosh hogayi
aamir kaha na phir ye dubara kidhar gaya
ay bibi sayyeda...