Kanz e Aza

Meri Maa Tum

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Anwar. Lyrics in Roman Urdu.

meri maa tum mera gham na karna


bezuban ne ye jhoole se awaaz di

apne asghar ka lo ab salaam aakhri

meri maa tum mera...


ran mein jis waqt hal min ki goonji sada

muztarib hogaya sheh ka mahelaqa

qaima e shaah mein shor e girya utha

apni maa se isharon mein kehne laga

mere baba ko hai ab zaroorat meri

unki haathon pe hogi shahadat meri

meri maa tum mera...


farz ansaar apna adaa kar chuke

taygh khaa kar gire suye kausar gaye

ek abid hai bus wo hai ghash mein pade

kaun baba ki jaa kar madad ab kare

ran ko jaana hai ab zimmedari meri

aa gayi jaan dene ki baari meri

meri maa tum mera...


laashe qasim ke maidan mein tukde huwe

maa ki aankhon se lekin na aansu bahe

jaan dene phupi ke dulaare gaye

shukr ke waaste maa ne sajde kiye

mai hoon asghar magar azm akbar ka hai

meri rag rag mein bhi khoon hyder ka hai

meri maa tum mera...


bolna tak abhi mujhko aaya nahi

nanhe haathon se kuch bhi uthaya nahi

teer o shamsheer maine chalaya nahi

jang karna kisi ne sikhaya nahi

mere haathon mein naiza na talwaar hai

bas ye sookhi zuban mera hathyaar hai

meri maa tum mera...


jitna dil chaahe ro mere baba pe ro

naujawani e akbar ka nauha padho

jiske shaane kate uska matam karo

mera kya hai suno meri maadar suno

cheh mahine ka hoon kuch bhi dekha nahi

soch lena mai dunya mein aaya nahi

meri maa tum mera...


meri khwahar sakina ko batlaiye

ab na aayenge ammu ye samjhaiye

raat aaye to seene se liptaiye

mera gham chodiye usko behlaiye

koi zidd hi karunga na rounga mai

ab se baba ke seene pe sounga mai

meri maa tum mera...


dekhi maadar ne anwar jo laashe pisar

gham se dil phat gaya gir padi khaak par

ro ke kehne lagi peet kar apna sar

ay mere laal ay mere noore nazar

dekh kar tera gehwara jee loongi mai

keh gaye ho to ab ashk pee loongi mai

meri maa tum mera...