Kanz e Aza

Nahi Dekha

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Syed Qasid Abbas. Lyrics in Roman Urdu.

karbal may kisi ghar ko ujadta nahi dekha

tareekh ne maana hai ke aisa nahi dekha


asghar teri maadar pe tera sadma hai kaisa

us ko kabhi saaye se guzarta nahi dekha

tareekh ne maana hai...


surat to dikha jao ke bechain hai maadar

armaan tha maa ne tere sehra nahi dekha

tareekh ne maana hai...


gir gir ke sambhalti rahi bazaaron may zainab

pehle kabhi bazaar ka rasta nahi dekha

tareekh ne maana hai...


yun to lade dunya may kayi baar mujahid

haste hue koi bache ko ladta nahi dekha

tareekh ne maana hai...


abbas tere baad yun roti thi sakina

aansu jo giray uske to tham'ta nahi dekha

tareekh ne maana hai...


abbas ne be-chadari zainab ki jo dekhi

naize pe sar e ghazi sambhalta nahi dekha

tareekh ne maana hai...


sab qatl huwe tanha hai ab sayyede sajjad

aisa sipay salaar zamane ne nahi dekha

tareekh ne maana hai...


shabbir tere sajde se zinda hai namazein

teeron pe kabhi aisa musalla nahi dekha

tareekh ne maana hai...