Kanz e Aza

Nahi Hai Koi Rida Sar Pe Jo Daale Zainab

A noha for Shehzadi Zainab (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

Mai Hoo Naize Pe Tere Bhai Ke Baazoo Bhi Nahi

Hai Koun Ab Jo Sunega Tere Naale Zaina


Apne He Khoo Se Racha Laya Hai Qaasim Mehdi

Oos Ki Dulhan Ko Zara Aur Saja Le Zaina


Wo Jo Soti Thi Mere Seene Pe Wo Roti Hai

Tu Sakina Ko Gale Apne Laga Le Zaina


Haye Bacchi Meri Panjo Pe Uth Ke Chalti Hai

Apne Baazu Ko Zara Aur Jhuka Le Zainab


Aankh Tou Kiya Hai Musibat Pe Teri Aye Bibi

Phoot Kar Roye Teri Paao Ke Chaale Zainab


Asre Ashur Chale Ran Ko Ye Kahe Kar Shabbir

Hum Tou Jaate Hain Tere Ghar Hai Hawaale Zainab


Wo Tou Bachpan Mei Bhi Kadiyal Jawaan Lagte The

Aise Maqtal Mei Ladey Tere Jiyale Zainab


Nisaar Kar Diye Bacche Na Bach Saka Bhai

Kis Taraha Apne Biradar Ko Bacha Le Zainab


Nauha Padh Kar Ke Sada Bibi Se Maango Ye Duaa

Hum Tou Hain Tere Humey Apna Bana Le Zainab


Yu Tou Rauzey Ki Shabih Tere Bahot Dekhi Hai

Ho Raza Teri Tou Ab Shaam Bula Le Zainab


Apne He Balon Se Chere Ko Chupa Le Zainab