Kanz e Aza

Neza sawaar bhai

A noha (2016). Lyrics in Roman Urdu.

Neza sawaar bhai

Ya hussain..(6)

Ek shor hai bazaar mein, Ya hussain, ya hussain, ya hussain

Guzra damishq se, jab kaarwaan e azaa

oonto'n pe thi bibiyaa'n, koofe ki shehzadiyaa'n

naizo'n pe the sab (shaheedo'n ke sar)..(2)

bhai pe pohchi behen ki nazar

kehne lagi wo behen nauhagar


mai dekhti rahi hun teri jung e karbala


hussain ya hussain


mai dekhti rahi hun teri jung e karbala


ab mera marhala..(2)

aankhei'n na band kar


Naiza sawaar bhai, aise quraan padh..(2)


koi na dekh paaye..(2), mujhko barahna sar

1. Barsaat pattharo'n ki, sar nange bibiyaa'n..(2)

itna kathan hai bhai..(2), saadat ka safar

2. Teri yaad mein hai roti, sakina bazaar mein..(2)


behlaye usko kaise..(2), jaaye behan kidhar

3. Chadar ki hai sawali, zahra ki betiyaa'n..(2)

hota nahi kisi par..(2), faryaad ka asar

4. Baalo'n se mu'n chhupau, ya khaak udhaau mai..(2)


laa de kahin se chadar..(2), ya ek kaam kar

5. Sab dekhte usi ko, hota agar yahaa'n..(2)

deta azaan aisi..(2), akbar mera pisar

Allahu akbar..(4)


6. Zehmat na tujhko deti, majboor hai behan..(2)

ae bhai har shaqi ki..(2), naa paak hai nazar


Naiza sawaar bhai, aise quraan padh..(2)


Aise quraan padh..(4)