Kanz e Aza

Shaame gareebaa'n me

A noha for Shaam e Ghareeba (2016). Lyrics in Roman Urdu.

Shaame ghareeba'n me zainab pukari..(2)


kis kisko rou'n mai ghum ki maari


Shaame ghareeba'n me zainab pukari..(2)


Bachho se kehti thi zehra ki pyaari..(2)

Mai tum pe sadqe mai tumpe waari


Shaame ghareeba'n me zainab pukari..(2)


1. Har simt laashe bikhre pade hai

khaime haram ke sab jal chuke hai

bachhe hamare sehme huwe hai

godi mein maao'n ki baithe huwe hai..(2)


aisa yateemo pe hai khauf taari

2. Maare gaye hai maqtal mein saare

bhai bhatije bete dulaare

abbas sote hai darya kanare


khushiya manate hai qatil hamare..(2)

baba ab aao madad ko hamari

3. Zulmo sitam se aakar bachao

abbas o qasim akbar kaha ho


ehle haram ko aakar sambhalo

tatbeer bekas ko koi batao..(2)

bewaein karti hai sab aaho zaari

4. Cheeni ridaein asbaab loota


abid ka mere bistar bhi cheena

baali sakina ne khaya tamacha

badal masaeb ka sar par hai chaya..(2)

ujda hai gulshan maa ka hamari


5. Kaise yateemo ko ab mai sambhalu

ranjo mahan se kaise nikalu

kisko pukaru kis samt jaau

bhai se waada kaise nibhau..(2)


chalti hai dil par ek ghum ki aandhi

6. Sawan ye nauha jo tune likha hai

qissa nahi hai aisa huwa hai

ranjo alam ka daftar khula hai


ummul masaeb ke dil ki sadaa hai..(2)

khaate nahi hai kuch rahm naari


Shaame ghareeba'n me zainab pukari..(2)