Kanz e Aza

Naize Par

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Asad Naqvi. Lyrics in Roman Urdu.

ya hussain maula hussain


kis tarha tehre sar e shaah e wafa naize par

shaam tak jayegi zainab ki rida naize par


raah may poocha sakina ne jo baba hai kahan

khoon rote huwe abid ne kaha naize par

kis tarha tehre...


qabr jis chaand ki chup chup ke banate thay hussain

raat hote hi wohi chaand chada naize par

kis tarha tehre...


shiddat e pyaas hai tanha hai ghareeb e zahra

aag ugalta hua suraj hai sawa naize par

kis tarha tehre...


khoon abid ki tarha rote thay mazloom hussain

choo ke chadar ko jo aati hai hawa naize par

kis tarha tehre...


maine parde may isay paala hai boli zainab

sar mujhe shimr na akbar ka dikha naize par

kis tarha tehre...


shaam tak baali sakina ne tamache khaaye

shaam tak rote rahe shaah e huda naize par

kis tarha tehre...


baad may majlis e shabbir hui zindan may

pehle majlis hui chadar ki bapa naize par

kis tarha tehre...


sirf aur sirf hussain ibne ali jaante hai

kaise hoti hai asad hamd e khuda naize par

kis tarha tehre...