naizo may shababe ali akbar nazar aaya
uljha hua khaaro may gule tar nazar aaya
naizo may shababe...
yun roye haram yaade shaheedane wafa may
har aankh may ashkon ka samandar nazar aaya
naizo may shababe...
abbas chale nehr pe bachon ki bandhi aas
har haath may umeed ka saagar nazar aaya
naizo may shababe...
jab shimr chala chod ke shabbir ka laasha
ek haath may sar ek may khanjar nazar aaya
naizo may shababe...
sotay may bhi haat apna hilaati thi jo bano
kya khaab may gehwara e asghar nazar aaya
naizo may shababe...
pani sheh e mazloom abhi maang rahe thay
haaton pe tadapta ali asghar nazar aaya
naizo may shababe...
kya haal hua hoga sitam-deeda behan ka
jab tashte tila may sare sarwar nazar aaya
naizo may shababe...
samjhunga nisar aankhon ne dekha dare jannat
kismat se agar rauza e sarwar nazar aaya
naizo may shababe...