Kanz e Aza

Namaze Shab Mein

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

shab ki tareeki mein namaze shab ke baad

mera mazloom imam dua maang raha hai

mere maula tujhe waasta is ghareeb ke ashkon ka

sukoone dil ke liye kar mujhe sakina ata

allah allah allah allah


namaze shab mein koi baap maangta hai dua

allah allah allah allah

sukoone dil ke liye kar mujhe sakina ata


diya hai sabr to mujhko qaraar bhi dede

mehek batool ki hyder ka pyar bhi dede

usay mai dekhun to yaad aaye mujhko maa zahra

allah allah allah allah

namaze shab mein koi baap...


wo mere seene pe soye to dhadkane khush ho

chale wo ungli pakad kar to aahatein khush ho

wo maange pani to haathon ko mai karun kooza

allah allah allah allah

namaze shab mein koi baap...


suna hai beti janaze ki hoti hai raunaq

mujhe bhi chahiye quran e zindagi ka waraq

milay janaze ki raunaq bara e karbobala

allah allah allah allah

namaze shab mein koi baap...


ibadaton ka sila tujhse maangta hoo mai

yehi to ek dua tujhse maangta hoo mai

charaghe qaima bhujaun to wo ho misle diya

allah allah allah allah

namaze shab mein koi baap...


sataye yaad usay jab hamare seene ki

to qaid khane mein majlis bapa kare meri

phupi ke saath musalle pe wo kare girya

allah allah allah allah

namaze shab mein koi baap...


khuda ne sunli dua e hussain ibne ali

mili wo beti jo bilkul shabihe zahra thi

sukoon mil gaya sheh ko sakina naam rakha

allah allah allah allah

namaze shab mein koi baap...


magar sukoon ye karbobala mein jaata raha

hui yateem sakina bandha rasan mein gala

hussein rote thay kehke barsare naiza

allah allah allah allah

namaze shab mein koi baap...


sitam ye shaam ke darbar mein hua kaisa

jise hussain ne apne khuda se maanga tha

usay kaneezi mein apni kisi ne maang liya

allah allah allah allah

namaze shab mein koi baap...


pasay hussain sakina ne wo sitam dekhe

tadap ke kehti thi bacchi padar ke laashe se

chupalo khoon bhare daaman mein mujhko ay baba

allah allah allah allah

namaze shab mein koi baap...


sar e hussain se aayi sada sar e maidan

namaz e shab ki dua ka asar sakina jaan

karenga teri hifazat wo naam hai jiska

allah allah allah allah

namaze shab mein koi baap...


rehaan azmi kehti thi karbala ki faza

hai baap beti ka ye imtehan kaisa khuda

har ek zulm pe dono ke lab pe hai ye sada

allah allah allah allah

namaze shab mein koi baap...