saaye may sayyeda ke azadaar rahenge
jab hoga sawa naize pe khursheed e qayamat
saaye may sayyeda ke azaadar rahenge
badta hi chala jayege shabbir ka matam
qaayam jo gham e sheh ke alamdar rahenge
saaye may sayyeda ke…
hum qabr may sojayenge jab be-khabri se
matam ki nishan rooh may be-daar rahenge
saaye may sayyeda ke…
ay munkir e matam tu kahan jaa ke rahega
jannat may to sarwar ke azadaar rahenge
saaye may sayyeda ke…
har cheez ko dunya may fana hona hai ek din
qaayam ghame shabbir ke aasaar rahenge
saaye may sayyeda ke…
jannat may agar majlise shabbir na hogi
hum ehle aza khuld se bezaar rahenge
saaye may sayyeda ke…
ek baar zara naam e ali leke to dekho
mushkil may madadgaar wo har baar rahenge
saaye may sayyeda ke…
be-jaan khudaon se kaha binte asad ne
kaabe may to ab hyder e karraar rahenge
saaye may sayyeda ke…
zainab ka khule sar bhare darbar may jaana
sajjad isi dard se bemaar rahenge
saaye may sayyeda ke…
wo mashk ka chidna wo sakina ka bilakna
abbas ke seene pe sada waar rahenge
saaye may sayyeda ke…
rehaan mera naamaye aamaal hai nauha
parwana e jannat mere ashaar rahenge
saaye may sayyeda ke…