sab ke lab par siskiyan hai karbala se shaam tak
baazuon mein rassiyan hai karbala se shaam tak
berida saydania hai karbala se shaam tak
sab ke lab par...
asghar o abbas o akbar yaad aate jab yahan
khaafile mein ro padi hai cheekh kar sab bibiyan
hichkiyan hi hichkiyan karbala se shaam tak
sab ke lab par...
abid e beemar ki gardan mein hai tauq e garan
aur us par taaziyano se hai zakhmi natawan
paon mein bhi bediyan hai karbala se shaam tak
sab ke lab par...
paon mein chaale pade hai choor zakhmon se badan
bekas o mazloom abid be-sahara be-watan
har qadam dushwariyan hai karbala se shaam tak
sab ke lab par...
ek bhi apna nahi koi yahan pooche jo haal
zaalimon ke khauf se hai tashnalab bache nidhaal
pyaas hai aur siskiyan hai karbala se shaam tak
sab ke lab par...
zulm ahmad ke gharane par huwe hai beshumar
chadarein sab ki chini hai kya ruqayya kya rabaab
sar jhukaye bibiyan hai karbala se shaam tak
sab ke lab par...
bekason ka haal koi poochne waala nahi
ab koi parda nahi hai ab koi saaya nahi
sar khule saydaniya hai karbala se shaam tak
sab ke lab par...
bache bache ne uthaye hai yahan ranj o alam
kaun hai kisne kiye hai in gareebon par sitam
har taraf khamoshiyan hai karbala se shaam tak
sab ke lab par...
nargha e aada mein itrat hai shah e mazloom ki
jis taraf ut'thi hai nazarein zainab o kulsoom ki
maut ki parchaiyan hai karbala se shaam tak
sab ke lab par...
khaafile ki sarparasti kar rahi hai ghamgusaar
baad mein abbas ke zainab bani hai zimmedaar
ab ye zimmedariyan hai karbala se shaam tak
sab ke lab par...
taaziyano ki sadayein goonjti hai dam ba dam
zindagi ki saans le sakte nahi ahle haram
kis qadar pabandiyan hai karbala se shaam tak
sab ke lab par...
kis tarha qirtaas pa likhega nazmi ka qalam
bekasi mein tashnalab jaage huwe hai ahle haram
aur shabbedariyan hai karbala se shaam tak
sab ke lab par...