sab ujad jayega zehra ka makan
asr ke baad
hoga shabbir ke qaimon mein dhuan
asr ke baad
subhe ashoor to dedi ali akbar ne azan
kaun dega bhala maghrib ki azan
asr ke baad
sab ujad jayega...
raakh pe qaimon ki rote huwe bache honge
dasht mein hoga qayamat ka samaa
asr ke baad
sab ujad jayega...
kaun masoom sakina pe taras khayega
kaun samjhega yateemi ki zaban
asr ke baad
sab ujad jayega...
laash abbas ki darya pe tadap jayegi
jab bhi uthegi sakina ki fughan
asr ke baad
sab ujad jayega...
ay sakina tere kano se lahoo tapkega
honge chehre pe tamachon ke nishan
asr ke baad
sab ujad jayega...
apna dil kaise sambhalegi ali ki beti
ran mein jab royegi shabbir ko maa
asr ke baad
sab ujad jayega...
kam se kam hai abhi beemar ka bistar baaqi
warna taqdeer mein aaram kahan
asr ke baad
sab ujad jayega...
ay khuda sayyed e sajjad ko de khuwate zabt
hoga shabbir ka sar aur sina
asr ke baad
sab ujad jayega...
khatm kardo yahan ay aamir o nayyar nauha
kar sakoge na ghamon ka ye bayan
asr ke baad
sab ujad jayega...