haal dunya ka dekh kar paiham
sab ko ab fikr hai moharram ki
kaise hoga hussain ka matam
sab ko ab fikr hai moharram ki
farshe majlis bichayenge kaise
shanashi ko sajayenge kaise
soch kar ho rahi hai aankhein nam
sab ko ab fikr hai...
gham ali ka mana nahi paaye
un ka taboot utha nahi paaye
bhool paaye na aaj tak ye gham
sab ko ab fikr hai...
waqt kis ke liye teherta hai
ye hawa ki tarha guzarta hai
zinadagi ki hui hai lau madham
sab ko ab fikr hai...
eid aayi guzar gayi lekin
dil ko sadmo se bhar gayi lekin
bhool jayenge phir bhi sab ye gham
sab ko ab fikr hai...
uska gham aur bhi do baala hai
jis ke ghar mein imam baada hai
kaise rakhega taaziya o alam
sab ko ab fikr hai...
maahe gham hai tulooh hone ko
ham to paida huwe hai rone ko
dil ke zakhmon ka hai yehi marham
sab ko ab fikr hai...
dekh kar shaanashi ko roti hai
maa meri baar baar kehti hai
kaise bache uthayenge parcham
sab ko ab fikr hai...
ghar mein aayengi fatiea zehra
kaise unko dikhayengi chehra
ay khuda rakh le meri maa ka bharam
sab ko ab fikr hai...
ya elaahi unhe shifa de de
jo bhi bemaar hai corona se
in wabaon ka zor kar de kam
sab ko ab fikr hai...
aamir ab door ho mahamaari
phir se ainee ho ye azadari
ay khuda karde apna khaas karam
sab ko ab fikr hai...