utho mere baba zameen jal rahi hai
tumhe aaj kaise ye neend aagayi hai
jo qaimon mein barpa qayamat hui hai
bahot sakth mushkil mein meri phuphi hai
sakina tadap kar sada de rahi hai
utho mere baba...
ye maqtal mein ro ro pukari sakina
liye dil mein ek zakhm kaari sakina
hai karti yehi aah o zaari sakina
aziyat bahot hai bahot tashnagi hai
utho mere baba...
sitamgar ne durron se zakhmi kiya hai
tamachon se rukhsaar neela pada hai
lahoo mere kaano se bhi beh raha hai
meri zindagi khoon mein doobi hui hai
utho mere baba...
bahot muntazir hai madina mein sughra
mera bhai akbar banega jo dulha
to loongi balayein utarungi sadqa
udhar dil mein akbar ke barchi lagi hai
utho mere baba...
na shikwa chacha se na shikwa hai rab se
main pyasi hoo baba kayi roz o shab se
maza kya hai pani ka bhooli hoo kab se
ajab badnaseebi ajab tashnagi hai
utho mere baba...
bapa hogaya hai qayamat ka manzar
bada lootne ke iraade se lashkar
jalayega qaimon ko lootega chadar
sakina is aafat se ghabra rahi hai
utho mere baba...
adoo ki nazar se bachayegi behna
lagayegi kajal utaaregi sadqa
ye kya hogaya khoon mein dooba hai kurta
teri raah qaime mein maa dekhti hai
utho mere baba...
hai badli hui aaj chehre ki rangat
nahi dekhi jaati hai dukhiya ki haalat
kahan par hai baysheer asghar ki turbat
har ek simt jaa jaa ke maa dekhti hai
utho mere baba...