Kanz e Aza

Noke Sina Pe Kehta

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

noke sina pe kehta tha ye sar hussain ka

kya kar saka layeen tera khanjar hussain ka


aankhon ka noor qalb ki taakhat chali gayi

ghode se jab gira ali akbar hussain ka

kya kar saka layeen tera khanjar hussain ka

noke sina pe kehta tha...


zehra ne apne haath rakhe taygh ke talay

sar kaatne laga jo sitamgar hussain ka

kya kar saka layeen tera khanjar hussain ka

noke sina pe kehta tha...


ye imtehan esabr tha warna ay shamiyon

bhaari tha poori fauj pe asghar hussain ka

kya kar saka layeen tera khanjar hussain ka

noke sina pe kehta tha...


kuch boodhe kuch jawan thay aur ek sheerkhaar

laakhon ke saamne tha ye lashkar hussain ka

kya kar saka layeen tera khanjar hussain ka

noke sina pe kehta tha...


rehaan mujhko dekh kar jannat pukaar uthi

aane do aa raha hai ye naukar hussain ka

kya kar saka layeen tera khanjar hussain ka

noke sina pe kehta tha...