haya ala khairal amal
mere khoon ki taharat kehti hai
mujhe har shaahi se achi hai
naukri shabbir ki
ye sab ko mayasar hoti nahi
ye hurr jaison ko milti hai
naukri shabbir ki
ye mansab jisko mil jaye
zahra ki duayein paata hai
wo khaak ka zarra ho kar bhi
khud khaake shifa ban jaata hai
ye naymat to hum jaison ki
taqdeer banaye rakhti hai
naukri shabbir ki...
ye farshe aza taboot o alam
ye nauhe majlis aur matam
pani ke sabeelein aur langar
masoom ali asghar ki qasam
hum ahle aza ki mazhab may
kehlaati thi kehlaati hai
naukri shabbir ki...
ye log jo nauha padte hai
ye log jo matam karte hai
ye maa behne jo roti hai
zaakir jo khitabat karte hai
darwaza e zehra par in ki
ta roze qayamat pakki hai
naukri shabbir ki...
shabbir ke jitne naukar hai
sairaab e jaam e kausar hai
khuddaam azakhano ke jo hai
qismat ke abuzar qambar hai
is izzat ko khud binte ali
quran ki zuban may kehti hai
naukri shabbir ki...
majlis may siyasat mat karna
maula se baghawat mat karna
is farshe aza par aake talab
is zikr ki keemat mat karna
belaas jo matam karte hai
bas unko shifa'at deti hai
naukri shabbir ki...
wo sajada e aakhir jalti zameen
jis sajde ka saani hi nahi
khanjar ke talay jis dam rakhi
shabbir ne haye zakhmi jabeen
jibreel ne aa kar di ye sada
manzoor khuda ne karli hai
naukri shabbir ki...
rehaan qalam bhi naukar hai
kaaghaz bhi ghulame sarwar hai
darvesh sifat har lafz mera
likhta jo aza ka manzar hai
kehti hai meri nauha goyi
taqdeer may teri likhdi hai
naukri shabbir ki...