nazb darya par shahe bekas ka qaima ho chuka
manzilein aafat pa pardesi ka dera ho chuka
aaj apni waada gah sadiq ul wbaad aa gaye
ab jo hona hai wo hoga tha jo hona ho chuka
nazb darya par...
nehr ki thandi hawa aati hai jab bemaar ko
kehte hai sajjad ay baba mai acha ho chuka
nazb darya par...
aakhri ghar ke liye lete hai hazrat kuch rabeeb
karbala mein hashr tak maloom rehna ho chuka
nazb darya par...
naizo o shamsheer o khanjar jama laakhon ho chuke
dawat e mehman ka sab saaman muhayya ho chuka
nazb darya par...
baazu e abbas ke lete hai bosay baar baar
shaah par kya jaaniye kya raaz afshan ho chuka
nazb darya par...