Kanz e Aza

Noha Tha Kulsoom ka

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Shaukath. Lyrics in Roman Urdu.

noha tha kulsoom ka haye qayamat hui

bhai ko zibha kiya haye qayamat hui

noha tha kulsoom...


bibiyon hoshiyar ho bacho ko godhi may lo

hilti hai arze bala haye qayamat hui

noha tha kulsoom...


kaat liya sheh ka sar aate hai aada idhar

kaun inhe rokega haye qayamat hui

noha tha kulsoom...


kya kare bekas behan hota hai pamaal tan

baade khaza ye jafa haye qayamat hui

noha tha kulsoom...


uthne laga hai dhuan qaimon se jaaye kahan

aada ne cheeni rida haye qayamat hui

noha tha kulsoom...


qaimon se bahar chalo jaan ki hifazat karo

sholon ne halqa kiya haye qayamat hui

noha tha kulsoom...


qaima e sajjad bhi zad pa hai ab aag ki

wo to hai ghash may pada haye qayamat hui

noha tha kulsoom...


noha anees e hazeen lik gaye shaukath makeen

jisne jahan bhi suna haye qayamat hui

noha tha kulsoom...