Kanz e Aza

Nikal Do Mere Pehlu

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Shams Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

tadap ke fatema zehra se shaah ne ye kaha

nikaal do mere pehlu se teer ay amma

muhaal hai mera karwat bhi lena dekho zara

nikal do nikal do


hazaron teer thay paywast shaah ke tan par

likha hai raavi ne wo khauf naak ek manzar

hussain teeron pe kehte thay aake ay amma

nikal do mere pehlu...


wo kaun sa hai sitam jo kiya nahi mujh par

sitam bhi rota hai dekho hamari ghurbat par

hai paash paash badan amma tere bete ka

nikal do mere pehlu...


diya hai nana ki ummat ne ye sila mujhko

na ek khatra bhi pani ka mil saka mujhko

ab haddiyon ki zaban par hai pyaas ka kalma

nikal do mere pehlu...


mai kaise zeen se amma zameen par aaun

zameen pe aake mai thoda sa phir sukoon paun

chubhan hai aisi tadapta hai aap ka beta

nikal do mere pehlu...


ye teen teer hai paywast mere pehlu mein

jigar fighaar hai saansein nahi hai qaabu mein

hai dard itna tumhe mai bata nahi sakta

nikal do mere pehlu...


ke dard kehte hai kisko ye maine jaana hai

teri tarha mera pehlu bhi maa shikasta hai

teri rida ki tarha chaak jism hai mera

nikal do mere pehlu...


rula rula ke mujhe zaalimon ne maara hai

badan to dekho mera jaise paara paara hai

hai bhooka pyasa tumhara ye laadla beta

nikal do mere pehlu...


kisi ne barchiyan maari kisi ne teer o tabar

kisi ko kuch na mila to utha liya patthar

kuch is tarha se badan chalni kar diya mera

nikal do mere pehlu...


gala hai khushk zaban khushk kund hai khanjar

jabeen jhukaye huwe keh rahe thay ye sarwar

zuban pe sheh ke tha subhana rabbial aala

nikal do mere pehlu...


ay shams tera muqaddar likha hai daawar ne

urooj baksha hai aamir jahan mein sarwar ne

bala ki dasht mein goonja tha bas yehi nauha

nikal do mere pehlu...