shaam ke ghup andhere mein sakina ki fughan thi
aap ka seena to teeron se bhara hai
neend kya khaak pe aayegi baba
maa ki aaghosh ya aaghosh padar bhaati hai
neend bachon ko andhere mein kahan aati hai
yaad seene ki satayegi baba
aap ka seena to...
neend kya khaak pe...
aag aur khoon ke mahaul se ghabrayi hoo
is liye aap ke laashe pe chali aayi hoo
kuch kami dard mein aayegi baba
aap ka seena to...
neend kya khaak pe...
ab dehekte huwe sehra ko kahungi bistar
mera takiya hai ye pathar to falak hai chadar
haan ye ghurbat hi rulayegi baba
aap ka seena to...
neend kya khaak pe...
aap roothe to muqaddar bhi mera rooth gaya
ho gaya tukde jigar gham se ye dil toot gaya
zindagi chain na payegi baba
aap ka seena to...
neend kya khaak pe...
kya isi din ke liye rab se mujhe maanga tha
waqt e mushkil mein akela jo mujhe chod diya
ab sakina kahan jayegi baba
aap ka seena to...
neend kya khaak pe...
tum tadap jaate sakina jo kabhi roti thi
aah karti thi mai takleef tumhe hoti thi
ek ek baat rulayegi baba
aap ka seena to...
neend kya khaak pe...
har dafa mujhko hi seene pe sulaya baba
aaj kyun teeron ko seene pe sulaya baba
na sakina ye bhulayegi baba
aap ka seena to...
neend kya khaak pe...
kaise farhan ye roodad likhega mazhar
baap se kehti thi maqtal mein sakina ro kar
baat ye mujhko jagayegi baba
aap ka seena to...
neend kya khaak pe...