Kanz e Aza

Pani Nahi Chahiye

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Mazhar Abidi (2023). Lyrics in Roman Urdu.

dhal gaya din wo takti rahi raasta

haath se daaman e sabr jaata raha

rukh kiya suye darya ye ro kar kaha

chacha jaan pani nahi chahiye


bas ab aap darya se aa jaiye

chacha jaan pani nahi...


meri pyaas to tum se bad kar nahi

mai mar jaungi mera karlo yaqeen

mujhe raas aayi na ye sar zameen

khudara na ab aur tadpaiye

chacha jaan pani nahi...


chacha mujhko maloom hota agar

nahi aayenge aap bhi laut kar

to phir mashk deti nahi nauhagar

meri mashk khaali hi le aaiye

chacha jaan pani nahi...


na jaane wo kaisi ghadi aayi thi

padar se ijazat jo dilwayi thi

mai khud apni ghurbat se ghabrayi thi

khata dar guzar meri farmaiye

chacha jaan pani nahi...


chacha ye sakina ka waada raha

ke ab al-atash ki na dungi sada

bina aap ke hai ye jeena saza

jiyun kaise itna to batalaiye

chacha jaan pani nahi...


sakina pe jaan dene waale chacha

kiya mujhko kiske hawale chacha

bhula dungi honton ke chaale chacha

mujhe aa ke seene se liptaiye

chacha jaan pani nahi...


khabar aap ke qatl ki yun mili

mere baba jaan ki kamar jhuk gayi

rida phaynk ke ro rahi hai phupi

ye manzar zara dekhne aaiye

chacha jaan pani nahi...


chidi mashk meri koi gham nahi

meri aas tooti koi gham nahi

mai pyasi rahungi koi gham nahi

dawa mere zakhmon ki ban jaiye

chacha jaan pani nahi...


ye mazhar ye mesum ye ahle aza

yehi kehke karte hai matam bapa

ye jumla sakina ka hai marsiya

bas ab aap darya se aajaiye

chacha jaan pani nahi...