parchame abbas hai ye parchame abbas
pehle darya e mawaddat mein naha kar dekho
dil ko ehsaas ke zewar se saja kar dekho
tum ko dunya hi mein firdaus nazar aayegi
parchame hazrate abbas utha kar dekho
khyber ki wigha mein isay hyder ne uthaya
aur khoon se abbas e dilawar ne sajaya
aur shaane kata kar usay maqtal mein bachaya
jo bhi uthayega isay fatema zehra usay deti hai dua
parchame abbas hai ye...
haathon mein jo saqqa e sakina ke jo alam hai
us ki hai ajab shaam ajab jaah o hasham hai
islam ki zeenat hai ye emaan ka bharam hai
jab bhi uthaate hai isay choomne aajati hai jannat se hawa
parchame abbas hai ye...
is jaisi chamak chand sitaron mein kahan hai
is ke hi ujaalon se munawwar ye jahan hai
sajde mein wahan arsh hai ye nasb jahan hai
ghaur se dekho jo isay is my nazar aati hai ghazi ki wafa
parchame abbas hai ye...
abbas ke parcham mein ye jo mashk saji hai
pani ki jagah is mein faqat tashna labi hai
hum jaise ghareebon ki bhi umeed bandhi hai
milta hai sukoon qalb ko jab paate hai hum iske pharere ki hawa
parchame abbas hai ye...