parchame hazrate abbas sajaye rakhna
zulm ke saath har ek saans hai insan ki nang
seekho shabbir se marne ki ada jeena ka dhang
ghame shabbir hai baatil se musalsal ek jang
ghame shabbir ko talwaar banaye rakhna
parchame hazrate abbas...
aake baaton mein subuk jaan ke farshe gham ko
kho na dena kahin shabbir ke is matam ko
khushk hone nahi dena kabhi chashme nam ko
aandhiyo mein bhi diya haq ka jalaye rakhna
parchame hazrate abbas...
rowe dastaar fazilat mein na aa jaana kahin
shaq o shubhaat mein padkar na gawa dena yaqeen
ghame shabbir ibadat hai koi rasm nahi
shor e matam se zamane ko jagaye rakhna
parchame hazrate abbas...
zulmate kufr mein dar aati hai emaan ki lakheer
kufr kar sakta nahi haq ke iraadon ko aseer
paak kar deta har rijs se zikre shabbir
zikre shabbir ko emaan banaye rakhna
parchame hazrate abbas...
hashr tak raahe mawadat yuhin abaad rahe
ye dua e dil e zehra hai zara yaad rahe
umr bhar rote yuhin thay nahi sajjad rahe
apni naslon ko azadaar banaye rakhna
parchame hazrate abbas...
ghame shabbir se abaad mera seena hai
mai azadaar hoo chehra mera aaena hai
sar buland hoke zamane mein agar jeena hai
sar dare sibte payambar pe jhukaye rakhna
parchame hazrate abbas...