ya abbas ya abbas
tumhi se aas lagaye udaas baithe hai
ye pyase bacche jo zainab ke paas baithe hai
abbas kahan ho abbas kahan ho
pani zara qaimon mein lao ghazi
pani sakina ko pilao
bacchon ko tum chehra dikhao ghazi
pani sakina ko pilao
ab tak na pyaas bujhi qaime ke dar pe khadi
roti hai kooza uthaye
asghar ko dekhti hai sab se ye poochti hai
mere chacha kyun na aaye
pani usay laa kar pilao ghazi
pani sakina ko pilao
pani zara qaimon mein...
bolo abbase jari kyun itni dayr hui
bacchon ko aa kar sambhalo
karte hai yaad tumhe phaila ke haath unhe
seene se apne laga lo
dekha nahi kab se aa jao ghazi
pani sakina ko pilao
pani zara qaimon mein...
kooze utha lo sabhi aate hi honge abhi
mashkeeza qaimon mein le ke
la denge pani hame rokega kaun unhe
ammu bahadur hai mere
toote na dil bacchon ka aao ghazi
pani sakina ko pilao
pani zara qaimon mein...
aa jao laut ke ghar neend aa rahi hai magar
soti nahi hai sakina
tumko maloom hai sab soti hai paas hoon jab
tum aur baba ka seena
lori usay aa kar sunao ghazi
pani sakina ko pilao
pani zara qaimon mein...
jab se ye shor utha abbas maara gaya
tooti hai sab pe qayamat
karte hai ro ro ke dua darya pe ho ay khuda
ammu hamare salamat
hausla bacchon ka badhao ghazi
pani sakina ko pilao
pani zara qaimon mein...
maqtal mein jo bhi gaya wapas na laut saka
masoom ghabra rahe hai
dikhta nahi hai alam dil mein saqqa e haram
kya kya khayal aa rahe hai
phir se zara parcham uthao ghazi
pani sakina ko pilao
pani zara qaimon mein...
darya pe sab ne dekha
parchame abbas utha
bali sakina ne kaha
dekho wo aate hai chacha
jab wo alam paas aaya
bacchon ka dil toot gaya
khoon mein dooba wo alam
rakh ke shahe deen ne kaha
qatl alamdar ho gaya haye hum ghareeb ho gaye
sher jaisa bhai tha mera haye hum ghareeb ho gaye
bacchon ne kooze phaynke ro ro ke alam se lipte
dekho ay zeeshan o raza deta hai ta'seer sada
yaad wo manzar aaya shor tha qaimon mein bapa
haye sakina haye pyaas
haye sakina haye pyaas