ammu jaan ay ammu jaan
bazaar mere rukhsaar
aur us pe shimr ka bhaari haath
ay ammu ye hai mera haal
tum kya gaye dekho mujhe
jis ne bhi chaha maara tamacha
ammu jaan ay ammu jaan
dekho sakina ka imtehan
ammu jaan ay ammu jaan
aap ko jab bhi maine bulaya
shimr ne mujhko aur rulaya
baalon se mujhko khaynch ke laaya
zaalim ne mujh par haath uthaya
hasta raha kehta raha
ghazi nahi ab aayega tera
ammu jaan ay...
ek hi jaisa gham hai hamara
hont phate khoon beh gaya saara
khooli ne jab naize se maara
gir gayi moo ke bal be-sahara
dekho zara aaj mera
aap ki tarha zakhmi hai chehra
ammu jaan ay...
aap ne sar naize se giraya
bad ke sakina ne jab uthaya
mere qareeb ek zaalim aaya
pusht pe meri durra lagaya
sar aap ka cheen liya
jaate huwe maara taziyana
ammu jaan ay...
amma ke shaano mein jo hai rassi
us se bandhi hai gardan meri
haye mai qad mein hoon sab se choti
paaon zameen par rakh nahi sakti
mera gala ghutne laga
panjon pe chalti hai teri sakina
ammu jaan ay...
aaj nahi hai sar par chadar
maare hai sab ne hum ko patthar
ghar mein phupi kehti thi aksar
jaati nahi saydaniya baahar
phir kyun hame bazaar mein
zaalim phirate hai be-parda
ammu jaan ay...
raah mein ek mod aisa bhi aaya
naaqe se meri rassi ko baandha
zaalim ne sab ko paas bulaaya
kehne laga ab dekho tamasha
sab dekh ke hasne lage
naaqe ke saath mujhe daudaya
ammu jaan ay...
baba ne jo tohfe mein diye thay
wo goshware chin gaye mere
pahunchi mai jab baba se kehne
dekha mujhe zaalim ne aa ke
kya mai kahun zaalim ne kyun
baap ki laash pe beti ko maara
ammu jaan ay...
farhan aur zeeshan wo bacchi
ammu se ye ro ro kar boli
kab se hoon pyasi zakhmi qaidi
main isi haal mein mar jaungi
bazaar hai darbar hai
phir mai hoon aur zindan ka andhera
ammu jaan ay...