marte marte tha sakina ke labon par nauha
sar mere saath hi dafna do mere baba ka
maut ke baad hi kam ho mere shayad aazaar
rakh doon rukhsaron pe unke jo mai apna rukhsaar
unke zakhmon se laga do mera zakhmi chehra
marte marte tha...
baad muddat ke mila hai ye sukoon aaj mujhe
maine baba ko lagaya hai galay se apne
bhool jaaye na kahin dil hi dhadakna mera
marte marte tha...
kisne rukhsaron pe maare hai tamache inke
lab mere baba ke zakhmi hai zyada mujhse
hoo bahoo chehra hai baba ka sakina jaisa
marte marte tha...
ashk jo behte chale jaate hai band aankhon se
dekhi jaati nahi shayad meri haalat unse
haal ye baba ka mujhse nahi dekha jaata
marte marte tha...
shimr ka khauf na turbat mein rulayega mujhe
kiski himmat jo koi aake darayega mujhe
honge turbat mein mere saath jo mere baba
marte marte tha...
reesma hat'ti nahi mere galay se jaise
aap isko bhi to dafnayenge hamraah mere
sar bhi rehne de mere paas ba-naam e zehra
marte marte tha...
roti jaati thi ye kehte huwe bibi akbar
mil ke baba se har ek gham hua ruqsat yaksar
dard kaano ka mujhe bhool gaya hai bhaiya
marte marte tha...