Kanz e Aza

Sitam Ye Kya

A noha for Imam Moosa e Kazim (a.s), written by Hasnain Akbar. Lyrics in Roman Urdu.

sitam ye kya sar e baghdad dhaaya jaata hai

janaza bediyon may bhi uthaya jaata hai


aseer e shaam ka pota hai qaidi e baghdad

ohad ka badla abhi tak chukaya jaata hai

sitam ye kya...


musfiron ke liye kya nahi hai qabrastan

janaza kya kabhi pull pe padhaya jaata hai

sitam ye kya...


hai naize seene ki jaanib to kuch hai pusht ki simt

ruku chauda baras se nibhaya jaata hai

sitam ye kya...


utha ke laaye hai mazdoor laash zindan se

ghareebi kehte hai kis ko bataya jaata hai

sitam ye kya...


na betiyon hi ka baghdad aana hai mumkin

na baap hi se madine ko jaaya jaata hai

sitam ye kya...


janabe zehra ke masoom bachon ko akbar

bata ke deen ke baaghi sataya jaata hai

sitam ye kya...