phir fatema ke ghar mein farshe aza bicha hai
bemaar e karbala ka taboot uth raha hai
karbobala ka zakhmi yasrab mein chal basa hai
bemaar e karbala ka taboot uth raha hai
zer e kafan bhi uski aankhon se khoon hai jaari
yaad aa rahi hai ghurbat sajjad ko padar ki
rauze se mustafa ke elaan ho raha hai
bemaar e karbala ka...
baqir se keh raha tha sadaat ka gharana
pehlu mein nana jaan ke mayyat na le ke jaana
pehle bhi ek janaza ghar wapis aa chuka hai
bemaar e karbala ka...
ab to madine waalon tum ko sukoon rahega
royega aur na iski aankhon se khoon bahega
baba ko rone waala khamosh ho gaya hai
bemaar e karbala ka...
mayyat ke aage aage ye koi keh raha tha
bazaar se na guzre sajjad ka janaza
bazaar ko ye qaidi rota hua gaya hai
bemaar e karbala ka...
maara hai is tarha se zaalim ne zehr de ke
kat kat ke baahar aaye is ke jigar ke tukde
pehlu pe fatema ke phir zakhm ek laga hai
bemaar e karbala ka...
taboot se lipat kar kehti hai koi bacchi
zindan se hai aayi bhaiya behan tumhari
aankhein to khol lo ab sar par mere rida hai
bemaar e karbala ka...
akbar jo laash e fizza dafna ke uthe maula
aayi sada e zainab baqir watan chala ja
sajjad ka janaza tayyaar hogaya hai
bemaar e karbala ka...