Kanz e Aza

Tadap Kar Sayyede

A noha for Zain-ul-Abedeen (a.s), written by Asif Bijnori. Lyrics in Roman Urdu.

tadap kar sayyed e sajjad roye


dafn karne ke liye laashe shaheedan e wafa

karbala aaye ba aejaz e imamat maula

chaar soo bikhre huwe tukdo ko jis dum dekha

phat gaya qalb o jigar zabt ka yaara na raha


lehed mein laasha e abbas rakh kar

tadap kar sayyed e sajjad roye


nigahon mein tha ashoora ka manzar

tadap kar sayyad e sajjad roye


kabhi laashe ke tukde choomte thay

kabhi abbas ka sar dhoondhte thay

tan e besar ko seene se laga kar

tadap kar sayyede...


shikasta jism ke boseeda shaane

uthaye kis tarha allah jaane

chala jab qalb par furqat ka khanjar

tadap kar sayyede...


sitam fauj e sitamgar dhaa rahi hai

sakina bhi tamache khaa rahi hai

chacha abbas se ye baat keh kar

tadap kar sayyede...


jidhar le jaa rahe hai jaa raha hoo

musalsal taaziyane khaa raha hoo

taras khaate nahi mujh par sitamgar

tadap kar sayyede...


badan par zakhm jitne thay dikhaye

huwe hai zulm kya kya sab bataye

bataya hai phuphi amma khule sar

tadap kar sayyede...


chacha ki laash ko ek aah bhar ke

bahot roye supurd e khaak kar ke

bahot choti si ek turbat bana kar

tadap kar sayyede...


mukammal hogaya jis dum dafeena

kiya talqeen mein zikr e sakina

bataya chin gaye kaano se gauhar

tadap kar sayyede...


kabhi darya kabhi turbat ko dekha

kabhi nazdeek se ghurbat ko dekha

sar e maqtal taraayi se palat kar

tadap kar sayyede...


dua maango ye asif sidq e dil se

koi dushman bhi aise din na dekhe

ke jaise shadman haathon ko mal kar

tadap kar sayyede...