ye murtajiz se kaha jab uqaab o ashal ne
bayan ho kaise jo manzar dikhaye maqtal ne
kiya sawaron pe saaya ghamon ke badal ne
hamay rulaya hai har ek qadam har ek pal ne
kisi bhi haal may hoga na kam malaal apna
bayan karte hai ek doosre se haal apna
sawaar kho gaye aur raahwar rote rahe
haye ali akbar haye ali akbar
ye ro ke kehne laga raahwar akbar ka
bapa tha qaimon may kohram kaisa manzar tha
mai jab shabih e mohamed ko leke ran ko chala
thay peeche peeche mere baadshah e karbobala
sada ye aati thi kuch dayr to ruko akbar
palat palat ke mujhe dekhte raho akbar
sawaar kho gaye aur...
kaha auqaab ne maidan may yun lade akbar
idhar saron ko udaya udhar bade akbar
lagi jo seene may barchi to gir gaye akbar
mai dekhta hi raha phir na uth sake akbar
sadayein rone ki aane lagi madine se
jo khaynci baap ne barchi pisar ke seene se
sawaar kho gaye aur...
haye abbas haye abbas
ye sun ke ashal e abbas ro ke kehne laga
uthaye mashk o alam jab chale mere maula
nazar may roab tha haathon may ek tha naiza
labe furaat pahunch kar bhara jo mashkeeza
wo mujhse kehte thay ashaal sakina pyasi hai
mujhe khayaam may le chal sakina pyasi hai
sawaar kho gaye aur...
qadam jo maine badhaye to shor uthne laga
na jaaye qaime may abbas sab karo hamla
kate jo haath alam khaak par hua thanda
chidi jo mashk to pani bhi beh gaya saara
laga jo gurz to phir na sambhal sake maula
zameen pe zeen se chehre ke bal gire maula
sawaar kho gaye aur...
haye hussain haye hussain
kaha hussain ke rahwaar ne ye rote huwe
ghareeb e zehra jo maqtal ki simt jaane lage
kiya tha sani e zahra ne khud sawaar aa ke
kaha hussain ne ay murtajiz badho aage
qadam mai kaise badhata sakina lipti thi
na leke ja mere baba ko mujhse kehti thi
sawaar kho gaye aur...
mai apne maula ko maqtal may leke jab pahuncha
ajeeb khauf tha dushman pe sher e hyder ka
akele pyase ko laakhon ne milke ghayr liya
hua ghareeb pe charon taraf se yun hamla
ho garm khaak ya pathar ho teer ya naiza
jo jiske haath may aaya hussain ko maara
sawaar kho gaye aur...
gire zameen pe to sayyeda ne thaam liya
pahunch ke shimr ne khanjar galay pe jab rakha
tadap ke us ghadi zaalim se sayyeda ne kaha
na maar laal mera teen din ka hai pyasa
sadayein deti rahi maa nahi ruka khanjar
mai khaak udhaata raha kat gaya hussain ka sar
sawaar kho gaye aur...
tha murtajiz ka ye zeeshan aur raza nauha
akela laut ke qaimon may jab mai aaya tha
sakina samjhi ke maqtal se aa gaye baba
nazar na aaye jo baba to mujhse ro ke kaha
hai choor zakhmon se kyun tu ne sar jhukaya hai
bata kahan mere baba ko chod aaya hai