jab ahle haram ne shaam ke zindan se rehaai paayi
sajjad tadap ke kehne lage jab sakina aayi
tum kaise rahogi zindan mein ay baba ki sehdayi
itna to bata do sughra ko kya jaa ke bataye bhai
suna jab naam sughra ka sada aayi suno bhaiya
laga hai khoon jis par wo mere gohar dikha dena
sakina reh gayi zindan mein bhai bata dena
suno bhaiya shikayat hai mujhe in shaam waalon se
kabhi durre lagaye hai kabhi khaincha hai baalon se
tamache itne khaaye hai lahoo behta hai gaalon se
bahot acha hua bhaiya watam mein reh gayi sughra
kabhi wo shaam na aaye usay meri dua dena
sakina reh gayi zindan mein...
hamein ahle sitam jab bhi sar e bazaar laate thay
hamari bebasi ka wo tamasha yun dikhaate thay
chacha ka sar giraane ke liye mujhko giraate thay
chacha ke paas jaane par zameen se sar uthane par
bahot maara layeeno ne ye sughra bata dena
sakina reh gayi zindan mein...
kahin dekhi nahi aisi mohabbat baap beti mein
mujhe darbar mein maanga gaya jis dam kaneezi mein
dilaasa mujhko ko dene aa gaya sar meri godhi mein
mujhe haakim ne jab dekha ye keh kar shimr ko bheja
chuda kar baap ka sar taaziyano ki saza dena
sakina reh gayi zindan mein...
mujhe darbar mein baba se aise bhi milaaya tha
sitamgar saamne khurme ka jab ek tasht laaya tha
mai kitna royi thi jab tasht se kapda hataya tha
wahan khurme nahi sar tha bata dena usay bhaiya
wo roye to meri ghurbat ka usko waasta dena
sakina reh gayi zindan mein...
koi beti na dekhe ran mein dekha mai ne jo manzar
gayi laashon se takraate huwe baba ke laashe par
kati ungli badan mein teer dekhe kat chuka tha sar
nishan teeron ke ay bhaiya na dekhe fatema sughra
pidar ka khoon bhara kurta watan jaa kar chupa dena
sakina reh gayi zindan mein...
sakina jaanti hai kaise dekha zakhm seene par
usay kaise bataoge nahi aaye ali akbar
behan mar jayegi bhai ke marne ki khabar sun kar
bahot hassaas hai sughra galay se tum laga lena
tera mai bhi to bhai hoo ye kehkar hausla dena
sakina reh gayi zindan mein...
chale abid to zeeshan o raza awaaz ye aayi
watan jaate huwe karbala jaana mere bhai
mere ammu se keh dena sakina mar gayi pyasi
nahi pani ka gham haye chacha tum kyun nahi aaye
andheri qaid mein ro ro ke maut aayi bata dena
sakina reh gayi zindan mein...